Yama Bhaisahib bhi mazedaar hain.
Bataakar nahin aate hain.
Kabhi toh darvaaze par khatkhatkaaye bina hi ghus jaate hain,
Aur apna kam karke, moochen ponchte huey
Tahal jaate hain.
Aur kabhi toh itlaa de kar bhi
Itna waqt laga dete hain
Ki intezaar karte karte lagta hai
Ki yon hi dum nikal jaayega.
Kabhi toh aate hain, phir keh dete hain
“Abhi toh mein bahut vyast hoon,
phir aaoonga.”
Aur baithe rah jaate hain unke chahne waale,
joh kahte hain ki kitna aur bhugtaaogey, mere dost?
Miyan , tum dost ho ki nahin ho?
Tum hamein samajh mein nahin aaye.
Tumhaari samay saarani bhi toh ajeeb hai.
Kabhi ek nanhi si jaan ko le jaate ho
Kabhi bade buzurgon ko tadpate ho
Kabhi ikatthe hi poore ke poore gaon aur shahar
Havai jahaaz ya rail,kuch bhi utha le jaate ho.
Kabhi aspataal mein aankh micholi khelte ho
Kabhi kabhi doctor logon ko thodi der ke liye jeet jaane dete ho
Ajeeb ho tum, Miyan .
Phir bhi tum mere pyaare dost ho-
Ek na ek din tum aaoge zaroor.
(The Hindi font has been driving me nuts, hence no Devnagari version this time. Apologies).